Bagiya Bagiya Balak Bhage
Tittli Phir Bhi Haath Na Lage
Is Pagle Ko Kaun Bataye
Dhoond Raha Hai Jo Tu Jag Mein
Koi Jo Paaye To
Maan Mein Hi Paaye
Sapno Se Bhare Naina
To Neend Hai Na Chaina
Aise Dagar Koi Agar Jo Apnaye
Har Raah Ke Woh Anat Pe
Rasta Hi Paaye
Dhoop Ka Rasta Jo Pair Jalaye
Mod To Aaye Chaau Na Aaye
Raahi Jo Chalta Hai Chalta Hi Jaaye
Koi Nahi Hai Jo Kahin Use Samjhaye
Sapno Se Bhare Naina
To Neend Hai Na Chaina
Door Se Hi Sagar Jise Har Koi Maane
Pani Hai Woh Ya Reth Hai Yeh Kaun Jaane
Jaise Ke Din Se Rain Alag Hai
Sukh Hai Alag Aur Chain Alag Hai
Per Jo Yeh Dekhe Woh Nain Alag Hai
Chain To Apna Sukh Hai Paraye
Sapno Se Bhare Naina
To Neend Hai Na Chaina
No comments:
Post a Comment