Showing posts with label Gaur-farmaiyega. Show all posts
Showing posts with label Gaur-farmaiyega. Show all posts

June 26, 2012

Teri Meri Kahani Shayaries...

Teri Meri Kahaani Shayari 1.

Pehli baar hum kisise kaise, kab, kahaan, kis life mein miltein hain yeh humein bhi nahi pata
Aur unhein hum phir kaise, kab, kahaan, kis life main miltein hain.



Teri Meri Kahaani Shayari 2.

Khuda ne jab tujhe banaya hoga
Ek sooroor uske dil mein aaya hoga
Socha hoga kya doonga tohfe main tujhe
Tab jaake usne mujhe banaya hoga.



Teri Meri Kahaani Shayari 3.

Aap humein bhool jao humein koi gum nahi,
Jis din humney aapko bhoola diya samajh lijiyega is duniya mein hum nahi.



Teri Meri Kahaani Shayari 4.

Na jagte huye khwaab dekha kar
Na chaho use jise pa na sako
Pyar kahhan kisi ka poora hota hain?
Pyar ka pehla akshar adhoora hota hain



Loved the Shayaries in the movie, but could find only these on net.
Movie was OK-OK!

August 5, 2011

...to zinda ho tum!

Dilon main tum apni betabiyaan leke chal rahe ho to zinda ho tum.
Nazar main khwabon ki bijliyaan leke chal rahe ho to zinda ho tum.
Hawa ke jhonkon ke jaise, aazad rehna sikho.
Tum ek dariya ke jaise, lehro main behna sikho.
Har ek lamhe se tum milo khole apni bahein.
Har ek pal ek naya samaa dekhe ye nigahein.
Jo apni ankhon main hairaniyaan leke chal rahe ho to zinda ho tum.
Dilon main tum apni betabiyaan leke chal rahe ho to zinda ho tum.


The above poem is from the movie, "Zindagi Na Milegi Dobara."

Dil, tu kyun rota hai?

Jab jab dard ka baadal chaya, jab gamm ka saya lehraya.
Jab aansu palkon tak aaya, jab ye tanha dil ghabaraya.
Humne dil ko samjhaya.
Dil, aakhir tu kyun rota hai?
Duniya main yunhi hota hai.
Ye jo gehre sannate hain, waqt ne sabko hi baante hai.
Thoda gamm hai sabka kissa, thodi dhup hai sabka hissa.
Aankh teri bekaar hi namm hai, har pal ek naya mausam hai.
Kyun tu aise pal khota hai?
Dil, aakhir tu kyun rota hai?

The above poem is from the movie, "Zindagi Na Milegi Dobara."

Ye jaane kaisa raaz hai?

Ek baat hothon tak hai jo aayi nahi, bas aankhon se hai jhankti.
Tumse kabhi, mujhse kabhi kuch labz hai wo mangti.
Jinko pehen ke hothon tak aajaye wo aawaz ki bahon mein bahein, daal ke jaise ithlaye wo.
Lekin jo ye ek baat hai, ehsaas hi ehsaas hai.
Khushboo si hai jaise hawa mein tairti, khushboo jo beaawaz hai.
Jiska pata tumko bhi hai, jiski khabar mujhko bhi hai.
Duniya se bhi chupta nahi, ye jaane kaisa raaz hai?


The above poem is from the movie, "Zindagi Na Milegi Dobara."

Main hun...

Pighale neelam sa behta hua ye sama, nili nili si khamoshiyan.
Na kahin hai Zameen, na kahin Aasma.
Sarsarati hui tehniyaan, pattiyaan keh rahi hai ki bas ek tum ho yahaan.
Sirf main hun, meri saanse hai aur meri dhandkane.
Aisi gehraiyaan, aisi tanhaiyaan aur main, sirf main.
Apne hone pe mujhko yakeen aagaya.

The above poem is from the movie, "Zindagi Na Milegi Dobara."