October 1, 2013

Lakshya!

Haan ye rasta hai tera
Tune ab jana hai...

Haan ye sapna hai tera
Tune pehchana hai...

Tujhe ab ye dikhana hai

Roke tujhko ANDHIYAN ya ZAMEEN aur AASAMA
Payega jo LAKSHYA hai tera

LAKSHYA ko har hal mein pana hai

Mushkil koi aajaye toh
Parvat koi takaraye toh
Takat koi dikhalaye toh
Tufan koi batalaye toh
Barse chahe Ambar se aag
Lipate chahe pairon se naag
Payega jo LAKSHYA hai tera

LAKSHYA ko har hal main pana hai

Himmat se jo koi chale
Dharti hile kadmon tale
Kya duriyan, kya faasle
Manzil lage aake gale

Tu chal yunhi ab subho-sham
Rukna-jhukna nahi tera kaam
Payega jo LAKSHYA hai tera

LAKSHYA ko har hal mein pana hai!

No comments: