October 7, 2013

Manzil milegi

Manzil usse hi milti hai jo haar nahi manate.
Jo har kathinaiyon ka saamna karte hain, unse dar kar nirash nahi hote.
Jo raah badalte hain lekin manzil nahi badalte.
Jo aapne nishchay se aapne khwab pure karte hain.
Jo bhagya badalne mein vishwas rakhte hai, apna bhagya jaan kar usse manzil mante nahi balki khud aapna bhagya banate hai apne haathon se.
Jo humesha dusron se prerna lete toh hai lekin apni manzil par pahunchne ke baad dusron ke liye khud ek prerna bante hai.

Kabhi kabhi Suraj ke bhi saamne kaale kaale baadal aa jaate hain aur uske prakash ko andhakar mein badal dete hain. Lekin Suraj ghabarata nahi aur aapni roshni par bhi shak nahi karta. Kyun ki usse pata hai ke ye baadal toh kuch pal ke liye hain aur annt main uska prakash fir se pure sansaar main falega. Aur wo issi umeed ke saat baadalon ke beech akela khada rehta hai. Aur fir unhe cheer kar fir se aapna prakas failata hai.
Ussi tarah raat ka andhera kitna bhi gehra kyun na ho, raat kitni hi lambi kyun na lage, Suraj fir bhi aapne agali subah aata hi hai jeet ki nayi umang le kar!

No comments: